Taskin
Ko Ham Na Roen Jo Zauq-E-Nazar Mile
Huran-E-Khuld Main Teri Surat Magar Mile
Huran-E-Khuld Main Teri Surat Magar Mile
Apni Gali Main Mujh Ko Na Kar Dafn Bad-E-Qatal
Mere Pate Se Khalq Ko Kyun Tera Ghar Mile
Saaqi Gari Ki Sharm Karo Aaj Varna Ham
Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jis Qadar Mile
Tujh Se To Kuch Kalam Nahin Lekin Ae Nadim
Mera Salam Kahiyo Agar Namabar Mile
Tum Ko Bhi Ham Dikhaye Ke Majnu Ne Kya Kiya
Fursat Kashakash-E-Gam-E-Pinhan Se Gar Mile
Lazim Nahi Ke Khijr Ki Ham Pairvi Karen
Mana Ke Ek Buzurg Hamain Ham Safar Mile
Ay Sakanan-E-Kucha-e-Dildar Dekhna
Tum Ko Kahi Jo Ghalib-e-Aashufta Sar Mile
By: Mirza Assadullah Khan
Galib
Kishmiish.com
#Kish-Miish-U-So-Much