Hoi Takhir To Kuch Bais-e-Takhir Bhi Tha | Mirza Galib Urdu Poetry

urdu poetry, shayari, mirza galib poetry, urdu poetry images, love shayari, urdu shayari, urdu gazals, love poetry, sad urdu poetry, best urdu poetry, romantic poetry, love urdu poetry, hindi shayari,

Hoi takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha
Ap aatey they magar koi inan gir bhi tha

Tum sy be- jaa hai mujhay apni tabahi ka gila
Is mai kuch shaiba e khubi e taqdir bhi tha

Tu mujhay bhool gaya ho tu pata batla doun?
Kabhi fitraak main terey koi nakh chir bhi tha

Qaid mai hai terey wehshi ko wohi zulf ki yaad
Haan! Kuch ek ranj-e-gar anbari-e-zanjeer bhi tha

Bijli ek koond gai aankhon ke aagey tou kiya!
Baat karte, keh mai lab tahna e taqrir bhi tha

Yousuf us ko kahun or kuch na kahey, khair hui
Gar bigar baithay tou mai laiq e tazir bhi tha

Daikh kar ghair ko ho kyun na kaleja thanda
Nala karta tha waley talib-e-tasir bhi tha

Paishey mai aib nahi, rakhiye na Farhad ko naam
Hum he ashufa saron mai woh jawaan Meer bhi tha

Hum the marne ko kharey, pas na aya, na sahi
Aakhir us shokh ke tarkash mai koi tir bhi tha

Rekhta ke tumhi ustad nahi ho ghalib
kehte hain agley zamane main koi meer bhi tha

By: Mirza Assadullah Khan Galib

Kishmiish.com 
#Kish-Miish-U-So-Much