Best Urdu Eid Poetry and Messages Collection for This Eid

Urdu Poetry, Shayari, Eid Poetry, Eid Poetry in Urdu, Eid Al Azha Poetry, Eid Al Fiter Poetry, Urdu Poetry Images, Islam Poetry, Urdu Eid Quotes, Love Shayari, Urdu Shayari, Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, Best Urdu Poetry, Love Urdu Poetry, Hindi Shayari,


Here is a collection of best Urdu Eid poetry and messages.

1.
Teri DEED Jis Ko Naseeb
Hai Wo Naseeb Qabil-e-Deed Hai
Lekin Tujhe Sochna Meri
Chaand Raat Or Tujhe Dekhna
Meri EID Hy.....
..............
2.
Kitni Eid-ein Guzar Gye Tum Bin
Kitni Eid-ein Guzar Gye Tum Bin
Ab Khuda Key Liye Na Tarpana
Dekho Eid Pir Ane Wale Hai
Eid Ke Sath Tum Be A Jana
......................
3.
Tery Dil Mein Meri Sanson Ko Panah Mil Jaye
Jo Mujhe Bhool Jay Uski Eid Fanah Ho Jaye 
..........................
4.
Suraj ki kirnain, taaron ki bahaar
Suraj ki kirnain, taaron ki bahaar
Chand ki chandni, apno ka pyaar
Har ghadi ho khushaal
Ussi tarhan Mubarak ho aapko
Eid ka ye tiyohaar
...........................
5.
Sahib-e-Aqal Hain Aap Ek Masla To Hal Kijiye,
Rukh-e-Yar Nahi Dekha Kya Meri Eid Ho Gayi
..........................
6.
Chupke se Chand ki Roshni Choo Jae ap ko
Dheeray se ye Hawa kuch keh Jae ap ko
Dil se Jo Chahte Ho Mang lo KHUDA se
Hum Dua karein ge k wo mil Jae ap ko

..........................

7.
Chand ke pehli dastak pay Chand mubarik kehtay hain
Sub say pehlay hm aap k0 Chand raat mubarik kehtay hain
............................
8.
Hum app ki yaad main udas hain,
Bas app say milnay ki ahh hay,
Chahay dost kitnay hi kion na hoon,
Maray liye tu app hi sab se khas hain
..........................
9.
Ik Eid Pey Tera Bicharh Jana 
Maire Har Eid Odas Krta Hy...
...............
10.
Din Tu Aam Bhi Katta Nahi Teray Bin
Issey Tu Phir Log Kehtay Hain Eid Ka Din....
.....................
11.
Door hoon apne Dost sey mai kesey Eid manaoon
Soch rahi hoon us tak pohnchoon ya us ko Bulaoon
...........................
12.
Sada hasnte raho jaise hasnte hain phool,
Duniya ke sare gham tumhe jayen bhool,
Charo taraf phhelao khushion ka geet,
Isi umeed ke sath Yaar tumhe
.......................................
13.
Eid K Din Sab Milein Gay Apne Apne Yaar Se
Hum Gale Mil Mil K Roein Gay Dar-O-Deewar Se
......................
14.
Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,
Aana chahoon jo tere pass to aaon kese,
Meri har saans amanat hai teri yaadon ki,
Toot ke is se zeyada tujhe chahoon kese....
..........................
15.
Ghazab kia jo tery waday per eitebaar kia
Tamam Ramadan teri Eidi ka intezaar kia
.................
16.
Rahoon Ki ye shaam aur yadoon ka ye sama
Apni palkoon mein hargiz sitare na layein gey
Rakhna Sambhal k tum chand khushiyan mere liye
Main laut k aaonga phir EID Manein gey!!
................................
17.
Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bi tanha Guzri
Galay Mil ke Bohat Rotey Jo Tum aa Jaatey!!
...................................
18.
Hum app ki yaad main udas hain
Bas app say milnay ki ass hy
Chahay dost kitnay hi kion na hoon
Maray liye tu app hi sab say khas hain
..............................
19.
Khushion se bhari...
Phoolon se dhaki...
Khusbboan me basi...
Rango se saji...
Taroon me chupi...
Supnon me dhali...
Aur shabnam se dhuli....
EID Mubarak!!
EID Mubarak!!
....................................
20.
Kitni Mushkil Sey Asmaan Pe aata hy ......
nazar Eid ka Chaand......
Key Chaand Ney Andaaz Tumhara Seekha Hy.......
..................
21.
Na Shikwa Humen Manzor Na Koi Bahana Ho ga
Tujhe Meri Qasam Is Eid Par Tujhe Aana Ho ga

Shikwa Mujhe Tujh Se Nahi Taqdeer Se Hai Apni

Ya RAB Is Bar Tujhe Us Ko Mujhe Se Milana Ho Ga

Piyasi Nigahen Kab Se Muntazir Teri Ek Jhalak Ko

Is Bar Eid Par Be Naqab Aa K Deedar Karana Ho Ga

Tere Wadon Ka Itbaar Nahi Hai Muj Ko Jana

Is Bar Eid Par Aa K Apna Wada Tuje Nibhana Ho Ga

Ye Aag Lagi Hai Mere Dil me Ishq Ki Aag Hai Jana

Eid pey Aa Kar Tujhe Hi Is Aag Ko Bujhana Ho Ga
.......................
22.
Uski Yaadon Main Uski Baton Mein.........
Kahin Mera Aks Bhi To Jhilmilata Hoga...
Lakh Masrof Rehta Hoga Apne Kamon Mein
Woh Eid Ka Din To Zarur Manata Hoga....
...............................
23.
Eid aayee hai sab log kehtey hain....
Tum jo aajao to mujhe Yaqeen aaye...
.............
24.
Roshan roshan din ho sara
roshan tar ho raat....
Har janib say ho eid kay din
khushion ki barsaat...!
..............
25.
Eid ki sachi khushi tu apno ki deed hy
Tum humse door ho tu apni kya eid hy!!
.............
26.
Sada hastey raho jaisey hastey hain
Duniya ki sarey gham tumhe jaye bhool
Charo taraf phalao khushion ka geet
Issi ummeed key saath dost tumhe Mubarak ho Eid...
.....................
27.
Nazar ka chain dil ka suroor hotey hain
Kuch aise log jahan main zaroor hotey hain
Sada chamakta rahay unki Eid ka tehwaar
Qareeb reh key bi hum se jo dor hotay hain
.....................
28.
Aaj Phir Eid Ka Chaand Nazar Aaya
Ab Na Wo Tu Hai Aur Na Wo Mai Hun
........................
29.
Ek Lamhe Ko Mai Ne Tujhe Dekha Tha
Umr Bhar Meri Nazar Mai Na Jacha Eid Ka Chand
................................
30.
Teri Arzoo, Teri Umeed Karta Hai
Ayy 'Chand'
Jab wo Teri Taraf Dekhain
To Unhain Kuch Yaad Dilana …
Mudhar Se Kuch Geet Sunana
Aur Kehna
Tumhain Koi Yaad Karta Hai
Teri Arzoo, Teri Umeed Karta Hai
Koi Aaj Bhi
Tumhain Dekh Kar Eid Karta Hai.....!
.............
31.
Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko
Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko
Dil Say jo Chahtay Hoo Maang Lo Khuda Say
Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko

.............................................
32.
Eid Ke Din Bhi Tanha Hun
Mein Phir Bhi G Raah Hun
Teri Eid Khushiun Bhri Hoo
Rub Sy Karta Yeh Duaa Hun
Ashkun Ka Sagur Jo Pey Giya
Mein Ek Aisa Diya Hun
Mujhe Es Baat Ka Ghum Hay
Eid Ke Din Tum Sy Juda Hun
Tum Sy Gila Hay Na Shikyat
Apne Muqaddar Sy Khfa Hun..!!!
.......................
33.
Ye EID tere shehr men bhi aai hogi
Baray naaz se tu ne manayi hogi.......
Haseen hath pay mehndi bhi lagai hogi
 Phir tu ne mithayi bhi khayi hogi.....
Humein tu surma dalne ki fursat nahi
Tu ne Aankhain apni kajal se sajayi hogi.....
Unhain kia ehsas kisi ki khushiyoun ka
Jinhon ne EID wale din EID manayi hogi.....
...................
34.
Har Baar Ki Tarha Is Baar Bi Anso Bahaon Ga
Tum Muj Say Door Ho Tu Main Kesey Ye EID Manaon Ga
Ik Taraf Eid Ki KhuShi Aur IkTaraf Tera Gham
Chori Hy Baat Tum Pay Tum Hi Jano
Main Apne Andar K Zakham Kisi Ko Na DiKhaon Ga
............
35.
Rishta tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley
Ab ki Eid pe
Mujh ko jitney card miley hain
Un cardon mein sab se pyara
Sab se acha
Pehla card tumhara hai
Muj ko chor ke janey waley
Zara kaho to
Yeh kiss aur ishaara hy??
.......
36.
Zara dum ko bhulaa do qissa dard-e-judai tum
Bina dil key, lekin manaa lo aaj eid ka din hy...
..............
37.
Yon teri chahtain sambhaali hain
Jesey eidi ho merey bachpan ki....
......
38.
Kash hota tu mera Bakra
Khilata Main tujay Ghass
seengh Hilata bade pyar se tere
Poochta jb ma pagal hai Kaun???
Tu ya Main ??
Bolta tu piyaar se
Main Main
main     main
Bakra Eid Mubarak!!!
............
39.
Gulshan ko kar rahi Moattar Hawa-e-Eid..
Aata nahi kuch Nazar kuch b Siwaye Eid..
Meri Taraf se Eid Mubarak ho Aap ko..
Bus Merey paas hai Yehi Tohfaa Baray-e-Eid..
..........
40.
Eid leka aati hy dher sarey khusiya
Eid mita deti hy insan mai dooriyan
Eid hai khuda ka aik nayab tabarok
Issi liye kahtey hy sab EID MUBARAK...!!
..............
41.
Aaj Khuda ki hum par ho Meharbani..
Karde maf hum logo ki sari Nafarmani...
Eid K din aj aao mil k karain yeh hi wada....
Khuda ki hi rahon main hum chalain gay sada....
.............
42.
Rahoon Ki ye shaam aur yadoon ka ye sama...
Apni palkoon mein hargiz sitare na layain gay...
Rakhna Sambhal k tum chund khushiyan mere liye...
Main laot k aonga phir Eid Manain gay...
..............
43.
Aye Eid Tum Jab B Aana
Sab k Liye Bus Khushian Lana...
Har Chehry Par Hansi Sajana
Har Aangan Mein Phool khilana...
Jo Roay hain Unhen Hansana
Jo Rothy hain Unhein Manana...
Jo Bichray hain Unhein Milana
Piyari Eid tum jab Bhi Aana...
Sub k Liye Khushian Lana...
.......
44.
Yeh Eid Bhi Guzaro Ga Hasb-e-Sabiq
Puranay Kapray Hain Aur Naye Ghum.....!
................
45.
Log Kehte Hain k Eid Aayee Ha...!
Tum Aajao to Yaqeen Aa jaye....!
....
46.
Choota sa ek lafz "Tumhari"
Kitna payara lagta hy
Dil main Khushion ki na jane
Kitne Phool Khilata hy
Pheeky se Be-Kaif se din main
Shookhi k Rang sajata hy
Jab EID k din ek Card miley
Us par hun Surkh Gulab baney
Jis ki andar sab se neechey
Likhne wali ne likha ho.
Tum ko dil se chahne wali.
"Sirf Tumhari"
Tab chota sa aik lafz 'Tumhari'
Kitna payara lagta hy.....!
.......
47.
Eid Ai Hy Musarat Ka Pyami Ban Kar
Wo Musarat Jo Teri Deed Se Wabasta Hy....!
.........
48.
Mai Ney Chaha Tuje Eid Pey Kuch Paish Karon
Jis Mai Ihsas K Sab Rang Hon Roshan Roshan
Jis Mai Aankhon Ke Tarashey Hoye Moti Lakhon
Jis Mai Shamil Ho Merey Qalab Ki Dharkan Dharkan....
.............
49.
Kuch Dolat pay Naaz krtay hain...
kuch Shohrat pay Naaz krtay hain...
Hmarey Hathon mein hy Daman-e-MUSTAFA (SAW)
Hum apni Qismat py Naz krtay hain…!
Eid Melaad-ul-Nabi Mubarak ho....
..................
50.
Sawere Sawere ho Khushyo ka Mela
Na logo ki Parwah Na Dunya ka Jhamela.....
Panchiyo k Sangeet ho Or Mosam Albela
Mubarak ho Aapko EID ka Sawera ......
.................
51.
Chori ko Kar Tu Taiz itna
Ke Har Takbeer Se Pehlay....
Bakra Chori Se Khud Puchaay
Bataa? meri Khata kya hy????
...............
52.
Phir na kahna ke Mainay bhula Dia hy
Ab na koi bahana Tumhare hoga
Dekh kar Msg Hamara 
Aap ko Muskurana hoga!!
...............