Koi umeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
Maut ka ek din muayyan hai
neend kyun raat bhar nahi aati
neend kyun raat bhar nahi aati
Aage aati thi dil pe hassi
ab kisi baat par nahi aati
ab kisi baat par nahi aati
Jaanta hoon sawab e ta’at o
zohd
par tabiyat idhar nahi aati
par tabiyat idhar nahi aati
Hai kuch aesi hi baat ‘ jo
chup hoon
warna kya baat kar nahi aati
warna kya baat kar nahi aati
Kyun na cheekhun ke yaad
karte hain
meri awaz gar nahi aati
meri awaz gar nahi aati
Daagh e dil gar nazar nahi
aata
boo bhi aey chara gar nahi aati
boo bhi aey chara gar nahi aati
Hum wahan hain ‘ jahan se hum
ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
kuch hamari khabar nahi aati
Marte hain aarzoo mein marne
ki
maut aati hai par nahi aati
maut aati hai par nahi aati
Kaabe kis munh se jaoge
ghalib
sharm tumko magar nahi aati
sharm tumko magar nahi aati
By: Mirza Assadullah Khan Galib
Kishmiish.com
#Kish-Miish-U-So-Much