Tere Waadey Pey Jiye Hum Tu Ye
Jaan Jhoot Janaa
K Khushi Se Mar Na Jaatey Agar Aitbaar Hota!!

Teri Nazuki Se Jana K Band-Ha
Tha Ahad Bodha
Kabhi Tu Na Tor Sakta Agar Ustawar Hota…

Koi Merey Dil Se Poochey
Terey Teer Neem Kash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ky Paar Hota…

Ye Kahan Ki Dosti Hy Ke Baney
Hain Dost Naaseh
Koi Chara Saaz Hota Koi Gham Gusaar Hota…

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo
Lahoo Ki Phir Na Thamta..
Jise Gham Samajh Rahey Hoo, Ye Agar Sharrar Hota…

Gham Agarchy Jan Gosil Hain,
Pey Kahan Bachein Ke Dil Hy
Gham-E-Ishq Agar Na Hota, Gham-E-Rozgar Hota…

Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hy, Shab-E-Gham
Buri Bala Hy
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota…

Huey Mar Ky Hum Jo Ruswaa, Huay
Kyun Na Gharq-E-Darya
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota…

Ye Masail-E-Tasawwuf, Yeh
Teraa Bayaan Ghalib..
Tujhe Hum Wali Samajhte Jo Na Bada Khawar Hota…

By: Mirza Assadullah Khan
Galib